Monday, 13 April 2009

Teri Yaad Aaye..

aaj phirr terre yaad aaye
phir kalam humne uthayi
ashkhon ki dhara ki shayyi banayi
aur dill ki aawaj shabd bankar panno par aaye

mere mann ki gheraiyoon mein tum hee samayee ho
phoolon ki khusbu see mehak lekar is zeevan mein aaye ho

aaj phir wo din yaad karte hain
tumhara is jevan mein aana, aur ek pal mein mere dhadkan ban jana
chand ki chandni main taron ki baraat lekar aana
phoolon ke ras se mere hathon mein mehndi lagana
aur apne pyar ki chadar udakar, apni bahon main lekar apne agan tak le jana....

is intezaar main tum aaoge phir jeene ki chah rakhte hain

2 comments:

  1. itna lajawab toh koi manja hua shayar hi likh sakta hai...keep going...its just fabulous!!!!

    ReplyDelete
  2. yaadein to wo behta dariya hai jiski baho main log apni puri zindagi jee lete hai ...chahare pe halki si muskurahat lati hai or kabhi ankho ko jhalaka deti hai..ye yaadein..
    marvels my dear di

    ReplyDelete